indu puri has left a new comment on your post "नन्हा सा एक दिया-'मयूरी'": फेसबुक पर विकास जी ने कुछ यूँ अपने व्यूज़ दिएVilas Dolke 'bilkul didi par mai to mayuri ki himmat dekhkar dang raha gaya wakai itni himmat kaha sai a gayi bapre . she is great didi' Posted by indu puri to उद्धवजी at 17 January 2012 00:43
Indu ji...
ReplyDeleteSuprabhat...
Aaj subah hi aapne rula diya....aankh ke aansu ponchh..socha man ki baat aapse share kar lun... Mayuri ki himmat ki daad deni padegi...ek aisa vakya mujhe bhi yaad ho aaya hai...humare vibhaag ki bus ka accident chandigarh-manali ke raste main ropar ke nikat ho gaya tha... Aur usme humare 7 log on the spot khatm ho gaye the aur baki sabhi bheeshan roop se ghayal....humare ek mitr ka poora parivaar chala gaya tha aur wo khud behoshi ki halat main PGI Chandigarh main laya gaya tha aur uske parivar ki mrtyu us se chhipaayi ja rahi thi...main khud jab us se milne gaya tha to woh khod khod ke apni patni aur bachchon ke baare main jab poochh raha to us se jhooth bolne main bada asahaj lag raha tha...shabd the ki gale main atak jaate the....sach main Mayuri prasansa ki patr hai...uski himmat ki jitni bhi tareef ki jaye kam hai...achanak koi hadsa suno hi to vyakti nervous ho uthta hai...aur Mayuri ne to hadse ka shikar hokar bhi sabko sambhala... Eshwar Mayuri ko sada khush rakhe....
Aapka kahna bilcul sahi hai...gam aur khushi jo bhi aap lena chaho chayan kar sakte hain...gam ka vakt bhi guzar jata hai, khushi ki tarah...sirf himmat nahi harni hai....yah maan kar chalna hai.... Eshwar ko man main basakar apni raah chalte rahen to rasta kitna bhi kathin kyon na ho...saralta se paar ho jayega...
Sadar...
Deepak Shukla..